Who is singer of Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) song?
Singer of Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) song is Various Artists.
Who is the music director of Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) song ?
Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) is Tuned by Saregama.
Whats the playtime (duration) of Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) song?
Playtime of song Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) is 6:51 Minute.
When Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) song released?
Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) mp3 hindi song has been released on 30/Jun/2017.
Which album is the song Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) from?
Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) is a hindi song from the album Laajawab Qawwalian.
How can I download Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) song ?
You can download Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) song via click above download links.
Description :-Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) mp3 song download by Various Artists in album Laajawab Qawwalian. The song Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) is and the type of this song is hindi
Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) Various Artists Lyrics
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Nazar mein shokiyaan aur bachpana shararat mein Adaayen dekhke hum phans gaye mohabbat mein Hum apni jaan se jaayenge jinki ulfat mein Yakin hai ki na aayenge woh hi maiyyat mein Khuda sawaal karega agar qayamat mein To hum bhi keh denge hum lut gaye sharafat mein
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Wahin wahin pe qayamat ho woh jidhar jaayein Jhuki jhuki hui nazron se kaam kar jaayen Tadapta chhod dein raste mein aur guzar jaayen Sitam to yeh hai ke dil le lein aur mukar jaayen Samajh mein kuchh nahin aata ki hum kidhar jaayen Yahi iraada hai yeh kah ke hum to mar jaayen
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Wafa ke naam pe mara hai bewafaon ne Ke dam bhi humko na lene diya jafaon ne Khuda bhula diya in husn ke Khudaon ne Mita ke chhod diya ishq ki khataon ne Udaye hosh kabhi zulf ki hawaon ne Haya-e-naaz ne loota kabhi adaaon se
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Hazaron lut gaye nazaron ke ik ishare par Hazaron beh gaye toofan banke dhaare par Na inke waadon ka kuchh theek hai, na baaton ka Fasana hota hai inka hazaar raaton ka Bahot haseen hai vaise to bholpan inka Bhara hua hai magar zehar se badan inka Yeh jisko kaat lein paani woh pee nahi sakta Dava to kya hai dua se bhi ji nahin sakta Inhee ke maare hue hum bhi hain zamane mein Hain chaar lafz mohabbat ke is fasane mein
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Zamana inko samajhta hai naik aur masoom Magar yeh kaise hain, kya hain kisi ko kya maloom Inhein na teer, na talvaar ki zaroorat hai Shikar karne ko kaafi nigahein ulfat hain Haseen chaal se dil paaymal karte hain Nazar se karte hain baatein kamaal karte hain Har ek baat mein matlab hazaar hote hain Yeh seedhe-saadhe bade hoshiyar hote hain Kuda bachaye haseeno ki tez chaalon se Pade kisi ka bhi paala na husn waalon se
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Husn waalon mein mohabbat ki kami hoti hai Chaahne waalon ki taqdeer buri hoti hai Unki baaton mein banawat hi banawat dekhi Sharm aankhon mein, nigaahon mein lagaawat dekhi Aag pahle to mohabbat ki laga dete hain Apne rukhsar ka deewana bana dete hain Dosti kar ke phir anjaan nazar aate hain Sach to yeh hai ki beimaan nazar aate hain Mautein kam nahin duniya mein mohabbat inki Zindagi hoti barbaad badaulat inki Din baharon ke guzarte hain magar mar-mar ke Lut gaye hum to haseeno pe bharosa kar ke
Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne Hamein to loot liya milke husn walon ne Kaale kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne
Tags: Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) Various Artists download Mp3 Song , Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) hindi , download free Humen To Loot Liya Milke (From Al-Hilal) Track, Various Artists Top Songs , Various Artists New Song Download - DjPunjab.